meri aankhon mein behad pyar tha aur tum kahin gum the
mirī āñkhoñ meñ behad pyaar thā aur tum kahīñ gum the
laboñ par shola-e-izhār thā aur tum kahīñ gum the
mire siine meñ tūfān-e-mohabbat raqs kartā thā
jigar meñ ishq kā āzār thā aur tum kahīñ gum the
tumhārā saath saare duniyā vāloñ ko khaTaktā thā
hamāre dil meñ ġham kā baar thā aur tum kahīñ gum the
ġhazal kī sūratoñ meñ naam terā jab piroyā thā
ye merā dil bhī lāla-zār thā aur tum kahīñ gum the
pighaltī jā rahī hai shaam rafta rafta āñkhoñ meñ
jigar meñ tīrgī kā vaar thā aur tum kahīñ gum the
taḌap uThī hai 'shīrīñ' ruuh merī be-qarārī se
mire dil meñ tumhārā pyaar thā aur tum kahīñ gum the
meri aankhon mein behad pyar tha aur tum kahin gum the
labon par shola-e-izhaar tha aur tum kahin gum the
mere sine mein tufan-e-mohabbat raqs karta tha
jigar mein ishq ka aazar tha aur tum kahin gum the
tumhaara sath sare duniya walon ko khaTakta tha
hamare dil mein gham ka bar tha aur tum kahin gum the
ghazal ki suraton mein nam tera jab piroya tha
ye mera dil bhi lala-zar tha aur tum kahin gum the
pighalti ja rahi hai sham rafta rafta aankhon mein
jigar mein tirgi ka war tha aur tum kahin gum the
taDap uThi hai 'shirin' ruh meri be-qarari se
mere dil mein tumhaara pyar tha aur tum kahin gum the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.