meri aankhon mein dariya jhulta hai
mirī āñkhoñ meñ dariyā jhūltā hai
ye paanī ab kināra DhūñDtā hai
ye paanī ret kī tah se guzar kar
ta.alluq hai to rasta DhūñDtā hai
ta.alluq ko na samjho jāvedānī
ye ā.īna havā se TūTtā hai
hamārī pyaas ruḳhsat chāhtī hai
pyāla haath se ab chhūTtā hai
meri aankhon mein dariya jhulta hai
ye pani ab kinara DhunDta hai
ye pani ret ki tah se guzar kar
talluq hai to rasta DhunDta hai
talluq ko na samjho jawedani
ye aaina hawa se TuTta hai
hamari pyas ruKHsat chahti hai
pyala hath se ab chhuTta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.