meri aankhon se aise dard ka rishta nikal aaya
mirī āñkhoñ se aise dard kā rishta nikal aayā
jise rakkhā nigāhoñ meñ vahī qatra nikal aayā
vo jis ko saarī duniyā kī ḳhudā ne baḳhsh dī daulat
usī ke ghar mirā khoyā huā kāñsā nikal aayā
maiñ dasrath māñjhī kā qissa bhī is misre meñ kahtā huuñ
kisī kī zid ke aage nuur kā rasta nikal aayā
jo us ne kah diyā gar vaah bin samjhe ġhazal merī
mire sar bhī ka.ī alfāz kā ḳharcha nikal aayā
hai kuchh to qāfiya baḌhiyā zarā mujh meñ bhī sastī hai
baḌī mushkil hai terī yaad kā sadma nikal aayā
zarā sī der meñ saarā fasāna likh ga.e qātil
banā.ī barsoñ kī buniyād pe jhagḌā nikal aayā
maiñ tere ishq kī bātoñ ko kaise hū-ba-hū likh duuñ
kahīñ qatra nikal aayā kahīñ dariyā nikal aayā
baḌī mushkil meñ huuñ dilbar alag andāz se tere
yuuñ kaise jhiil sī āñkhoñ meñ ye sahrā nikal aayā
ġhazal meñ mujh ko apnī baat kahne kā salīqa de
zarā se ilm se 'ehsās' par ḳhatra nikal aayā
meri aankhon se aise dard ka rishta nikal aaya
jise rakkha nigahon mein wahi qatra nikal aaya
wo jis ko sari duniya ki KHuda ne baKHsh di daulat
usi ke ghar mera khoya hua kansa nikal aaya
main dasrath manjhi ka qissa bhi is misre mein kahta hun
kisi ki zid ke aage nur ka rasta nikal aaya
jo us ne kah diya gar wah bin samjhe ghazal meri
mere sar bhi kai alfaz ka KHarcha nikal aaya
hai kuchh to qafiya baDhiya zara mujh mein bhi sasti hai
baDi mushkil hai teri yaad ka sadma nikal aaya
zara si der mein sara fasana likh gae qatil
banai barson ki buniyaad pe jhagDa nikal aaya
main tere ishq ki baaton ko kaise hu-ba-hu likh dun
kahin qatra nikal aaya kahin dariya nikal aaya
baDi mushkil mein hun dilbar alag andaz se tere
yun kaise jhil si aankhon mein ye sahra nikal aaya
ghazal mein mujh ko apni baat kahne ka saliqa de
zara se ilm se 'ehsas' par KHatra nikal aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.