meri aawaz ko pahchan lega
mirī āvāz ko pahchān legā
vo apne raaz ko pahchān legā
nahīñ mānegā raavī ke havāle
tire andāz ko pahchān legā
miTā degā har ik āzād tan ko
vo jab bhī cause ko pahchān legā
vo duniyā kā nikammā aadmī hai
kahāñ e.ajāz ko pahchān legā
chalegā jab qalam kāġhaz pe 'ḳhushtar'
ġhazal ke saaz ko pahchān legā
meri aawaz ko pahchan lega
wo apne raaz ko pahchan lega
nahin manega rawi ke hawale
tere andaz ko pahchan lega
miTa dega har ek aazad tan ko
wo jab bhi cause ko pahchan lega
wo duniya ka nikamma aadmi hai
kahan eajaz ko pahchan lega
chalega jab qalam kaghaz pe 'KHushtar'
ghazal ke saz ko pahchan lega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.