Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

meri afsurda-dili gardish-e-ayyam se hai

Masud Husain Khan

meri afsurda-dili gardish-e-ayyam se hai

Masud Husain Khan

MORE BYMasud Husain Khan

    Interesting Fact

    1957

    mirī afsurda-dilī gardish-e-ayyām se hai

    log kahte haiñ mohabbat kisī gulfām se hai

    chashm-e-sāqī ne bhī ye mashvara-e-nek diyā

    ki ilāj-e-ġham-e-dil talḳhī-e-bad-nām se hai

    chāñdnī-rāt meñ ye aur chamak uTThegā

    dard kuchh dil meñ sivā aaj sar-e-shām se hai

    rañg uḌāyā hai zamāne ne jahāñ se 'mas.ūd'

    apnī nisbat bhī usī yār-e-gul-andām se hai

    meri afsurda-dili gardish-e-ayyam se hai

    log kahte hain mohabbat kisi gulfam se hai

    chashm-e-saqi ne bhi ye mashwara-e-nek diya

    ki ilaj-e-gham-e-dil talKHi-e-bad-nam se hai

    chandni-raat mein ye aur chamak uTThega

    dard kuchh dil mein siwa aaj sar-e-sham se hai

    rang uDaya hai zamane ne jahan se 'masud'

    apni nisbat bhi usi yar-e-gul-andam se hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now