meri ana ka asasa zarur KHak hua
mirī anā kā asāsa zarūr ḳhaak huā
magar ḳhushī hai ki tere huzūr ḳhaak huā
mujhe badan ke bikharne kā ġham nahīñ lekin
malāl ye hai dil-e-nā-subūr ḳhaak huā
maiñ apnī ḳhaak se raushan huā jo surat-e-mushk
tamām mausam-e-gul kā ġhurūr ḳhaak huā
bichhaḌ ke tujh se ye kam to nahīñ ziyāñ merā
har ek manzar-e-nazdīk-o-dūr ḳhaak huā
ye kaisā qaht mire zehn-o-dil pe aaya hai
'salīm' merī ġhazal kā shu.ūr ḳhaak huā
meri ana ka asasa zarur KHak hua
magar KHushi hai ki tere huzur KHak hua
mujhe badan ke bikharne ka gham nahin lekin
malal ye hai dil-e-na-subur KHak hua
main apni KHak se raushan hua jo surat-e-mushk
tamam mausam-e-gul ka ghurur KHak hua
bichhaD ke tujh se ye kam to nahin ziyan mera
har ek manzar-e-nazdik-o-dur KHak hua
ye kaisa qaht mere zehn-o-dil pe aaya hai
'salim' meri ghazal ka shuur KHak hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.