meri auqat wo is tarah bata deta hai
mirī auqāt vo is tarah batā detā hai
ḳhaak le kar ke havāoñ meñ uḌā detā hai
maiñ bahut duur chalā jaatā huuñ jab bhī ḳhud se
mere andar se koī mujh ko sadā detā hai
laakh kartā rahā maiñ us ko bhulāne kī sa.ī
yaad rah rah ke koī us kī dilā detā hai
jab bhī chāhā ki use baḌh ke maiñ fauran chhū luuñ
kachchī nīñdoñ se koī mujh ko jagā detā hai
us se vābasta haiñ kuchh aisī purānī yādeñ
jab bhī aatā hai mirī niiñd uḌā detā hai
meri auqat wo is tarah bata deta hai
KHak le kar ke hawaon mein uDa deta hai
main bahut dur chala jata hun jab bhi KHud se
mere andar se koi mujh ko sada deta hai
lakh karta raha main us ko bhulane ki sai
yaad rah rah ke koi us ki dila deta hai
jab bhi chaha ki use baDh ke main fauran chhu lun
kachchi nindon se koi mujh ko jaga deta hai
us se wabasta hain kuchh aisi purani yaaden
jab bhi aata hai meri nind uDa deta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.