meri baat ka jo yaqin nahin mujhe aazma ke bhi dekh le
meri baat ka jo yaqin nahin mujhe aazma ke bhi dekh le
Anand Narayan Mulla
MORE BYAnand Narayan Mulla
mirī baat kā jo yaqīñ nahīñ mujhe aazmā ke bhī dekh le
tujhe dil to kab kā maiñ de chukā use ġham banā ke bhī dekh le
ye to Thiik hai ki tirī jafā bhī ik atā mire vāste
mirī hasratoñ kī qasam tujhe kabhī muskurā ke bhī dekh le
mirā dil alag hai bujhā sā kuchh tire husn par bhī chamak nahīñ
kabhī ek markaz-e-zīst par unheñ saath lā ke bhī dekh le
mire shauq kī haiñ vahī zideñ abhī lab pe hai vahī iltijā
kabhī is jale hue tuur par mujhe phir bulā ke bhī dekh le
na miTegā naqsh-e-vafā kabhī na miTegā haañ na miTegā ye
kisī aur kī to majāl kyā use ḳhud miTā ke bhī dekh le
kisī gul-e-fasurda-e-bāġh huuñ mire lab hañsī ko bhulā chuke
tujhe ai sabā jo na ho yaqīñ mujhe gudgudā ke bhī dekh le
mire dil meñ tū hī hai jalva-gar tirā aa.ina huuñ maiñ sar-basar
yūñhī duur hī se nazar na kar kabhī paas aa ke bhī dekh le
mire zarf-e-ishq pe shak na kar mire harf-e-shauq ko bhuul jā
jo yahī hijāb hai darmiyāñ ye hijāb uThā ke bhī dekh le
ye jahān hai ise kyā paḌī hai jo ye sune tirī dāstāñ
tujhe phir bhī 'mullā' agar hai zid ġham-e-dil sunā ke bhī dekh le
meri baat ka jo yaqin nahin mujhe aazma ke bhi dekh le
tujhe dil to kab ka main de chuka use gham bana ke bhi dekh le
ye to Thik hai ki teri jafa bhi ek ata mere waste
meri hasraton ki qasam tujhe kabhi muskura ke bhi dekh le
mera dil alag hai bujha sa kuchh tere husn par bhi chamak nahin
kabhi ek markaz-e-zist par unhen sath la ke bhi dekh le
mere shauq ki hain wahi ziden abhi lab pe hai wahi iltija
kabhi is jale hue tur par mujhe phir bula ke bhi dekh le
na miTega naqsh-e-wafa kabhi na miTega han na miTega ye
kisi aur ki to majal kya use KHud miTa ke bhi dekh le
kisi gul-e-fasurda-e-bagh hun mere lab hansi ko bhula chuke
tujhe ai saba jo na ho yaqin mujhe gudguda ke bhi dekh le
mere dil mein tu hi hai jalwa-gar tera aaina hun main sar-basar
yunhi dur hi se nazar na kar kabhi pas aa ke bhi dekh le
mere zarf-e-ishq pe shak na kar mere harf-e-shauq ko bhul ja
jo yahi hijab hai darmiyan ye hijab uTha ke bhi dekh le
ye jahan hai ise kya paDi hai jo ye sune teri dastan
tujhe phir bhi 'mulla' agar hai zid gham-e-dil suna ke bhi dekh le
- Book : Kulliyat-e-Anand Narayan Mulla (Pg. 139)
- Author : Anand Narayan Mull a
- Publication : Qaumi Council Baraye-farogh Urdu (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.