mirī baat sun mire ham-nafas mire saath ab tū vafā na kar
maiñ charāġh huuñ jo bujhā huā mujhe raushnī kī duā na kar
maiñ vo ashk huuñ jo girā nahīñ maiñ vo dard huuñ jo huā nahīñ
mirā zarf mujh se hai kah rahā mire zaḳhm kī tū davā na kar
tirī aarzū meñ sañvar gayā tirī justujū meñ bikhar gayā
tirī sāzishoñ meñ jo raaz hai tū kabhī bhī us ko kahā na kar
mirā ham-safar bhī rahā hai tū mirī har ġhazal meñ chhupā hai tū
mirī dhaḌkanoñ se tū aa ke mil mujhe rahguzar meñ milā na kar
ye samajh le 'sarvar'-e-ġham-zada vo rahīm hai vo karīm hai
jo likhā hai us ne nasīb meñ kabhī us kā shikva gila na kar
meri baat sun mere ham-nafas mere sath ab tu wafa na kar
main charagh hun jo bujha hua mujhe raushni ki dua na kar
main wo ashk hun jo gira nahin main wo dard hun jo hua nahin
mera zarf mujh se hai kah raha mere zaKHm ki tu dawa na kar
teri aarzu mein sanwar gaya teri justuju mein bikhar gaya
teri sazishon mein jo raaz hai tu kabhi bhi us ko kaha na kar
mera ham-safar bhi raha hai tu meri har ghazal mein chhupa hai tu
meri dhaDkanon se tu aa ke mil mujhe rahguzar mein mila na kar
ye samajh le 'sarwar'-e-gham-zada wo rahim hai wo karim hai
jo likha hai us ne nasib mein kabhi us ka shikwa gila na kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.