Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

meri bandagi tujhe de sakegi bajae mani-o-lafz kya

Jameel Mazhari

meri bandagi tujhe de sakegi bajae mani-o-lafz kya

Jameel Mazhari

MORE BYJameel Mazhari

    mirī bandagī tujhe de sakegī bajā.e mā'nī-o-lafz kyā

    hai mire shu'ūr jholiyoñ meñ sivā.e mā'nī-o-lafz kyā

    jo nazar bojh na sah sakīñ vo zabāñ bojh saheñgī kyā

    subuk-o-latīf ishāratoñ pe jafā-e-mā'nī-o-lafz kyā

    mujhe Dar hai ai suḳhan-āfrīñ ye libās un pe girāñ na ho

    jo haqīqateñ na pahan sakīñ vo qabā-e-mā'nī-o-lafz kyā

    na vo shams meñ na qamar meñ hai vo hijāb-e-fikr-o-nazar meñ hai

    jo hijāb-e-fikr-o-nazar uThā to ġhizā-e-mā'nī-o-lafz kyā

    mirī ruuh agarche hai gurasna mirā shauq agarche hai jāñ-ba-lab

    magar ai jamīl-e-ġhazal-sarā ye ridā-e-mā'nī-o-lafz kyā

    meri bandagi tujhe de sakegi bajae ma'ni-o-lafz kya

    hai mere shu'ur ki jholiyon mein siwae ma'ni-o-lafz kya

    jo nazar ka bojh na sah sakin wo zaban ka bojh sahengi kya

    subuk-o-latif ishaaraton pe jafa-e-ma'ni-o-lafz kya

    mujhe Dar hai ai suKHan-afrin ye libas un pe giran na ho

    jo haqiqaten na pahan sakin wo qaba-e-ma'ni-o-lafz kya

    na wo shams mein na qamar mein hai wo hijab-e-fikr-o-nazar mein hai

    jo hijab-e-fikr-o-nazar uTha to ghiza-e-ma'ni-o-lafz kya

    meri ruh agarche hai gurasna mera shauq agarche hai jaan-ba-lab

    magar ai jamil-e-ghazal-sara ye rida-e-ma'ni-o-lafz kya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now