Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

meri be-KHudi hai wo be-KHudi ki KHudi ka wahm-o-guman nahin

Chakbast Braj Narayan

meri be-KHudi hai wo be-KHudi ki KHudi ka wahm-o-guman nahin

Chakbast Braj Narayan

MORE BYChakbast Braj Narayan

    mirī be-ḳhudī hai vo be-ḳhudī ki ḳhudī vahm-o-gumāñ nahīñ

    ye surūr-e-sāġhar-e-mai nahīñ ye ḳhumār-e-ḳhvāb-e-girāñ nahīñ

    jo zuhūr-e-ālam-e-zāt hai ye faqat hujūm-e-sifāt hai

    hai jahāñ aur vajūd kyā jo tilism-e-vahm-o-gumāñ nahīñ

    ye hayāt ālam-e-ḳhvāb hai na gunāh hai na savāb hai

    vahī kufr-o-dīñ meñ ḳharāb hai jise ilm-e-rāz-e-jahāñ nahīñ

    na vo ḳhum meñ baade josh hai na vo husn jalva-farosh hai

    na kisī ko raat hosh hai vo sahar ki shab gumāñ nahīñ

    vo zamīñ pe jin thā dabdaba ki buland arsh pe naam thā

    unheñ yuuñ falak ne miTā diyā ki mazār tak nishāñ nahīñ

    meri be-KHudi hai wo be-KHudi ki KHudi ka wahm-o-guman nahin

    ye surur-e-saghar-e-mai nahin ye KHumar-e-KHwab-e-giran nahin

    jo zuhur-e-alam-e-zat hai ye faqat hujum-e-sifat hai

    hai jahan ka aur wajud kya jo tilism-e-wahm-o-guman nahin

    ye hayat aalam-e-KHwab hai na gunah hai na sawab hai

    wahi kufr-o-din mein KHarab hai jise ilm-e-raaz-e-jahan nahin

    na wo KHum mein baade ka josh hai na wo husn jalwa-farosh hai

    na kisi ko raat ka hosh hai wo sahar ki shab ka guman nahin

    wo zamin pe jin ka tha dabdaba ki buland arsh pe nam tha

    unhen yun falak ne miTa diya ki mazar tak ka nishan nahin

    Source :
    • Book : Mujalla Dastavez (Pg. 110)
    • Author : Aziz Nabeel
    • Publication : Edarah Dastavez (2013-14)
    • Edition : 2013-14
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now