meri be-KHwab in aankhon ke manzar bol paDte hain
mirī be-ḳhvāb in āñkhoñ ke manzar bol paḌte haiñ
ye chādar bol paḌtī hai ye bistar bol paḌte haiñ
bhalā kaise chhupā.ūñ apnā ye pur-dard afsāna
maiñ chup rahtā huuñ to ġham ke samundar bol paḌte haiñ
bajā.e āñsuoñ ke ḳhuun barsātī haiñ ye āñkheñ
purāne zaḳhm jab is dil ke andar bol paḌte haiñ
hai jis kā naam sachchā.ī bas us ke haq meñ tum aur ham
magar tardīd meñ lashkar ke lashkar bol paḌte haiñ
hamārī lab-kushā.ī par hai kyoñ kar itnā hangāma
musalsal Thokareñ khā kar to patthar bol paḌte haiñ
miyāñ aisī 'adālat meñ bhalā insāf kyā hogā
jahāñ mazlūm se pahle sitam-gar bol paḌte haiñ
ġhanīmat hai ki ab bhī bādaloñ kī oT se 'tashna'
añdheroñ ke muḳhālif māh-o-aḳhtar bol paḌte haiñ
meri be-KHwab in aankhon ke manzar bol paDte hain
ye chadar bol paDti hai ye bistar bol paDte hain
bhala kaise chhupaun apna ye pur-dard afsana
main chup rahta hun to gham ke samundar bol paDte hain
bajae aansuon ke KHun barsati hain ye aankhen
purane zaKHm jab is dil ke andar bol paDte hain
hai jis ka nam sachchai bas us ke haq mein tum aur hum
magar tardid mein lashkar ke lashkar bol paDte hain
hamari lab-kushai par hai kyon kar itna hangama
musalsal Thokaren kha kar to patthar bol paDte hain
miyan aisi 'adalat mein bhala insaf kya hoga
jahan mazlum se pahle sitam-gar bol paDte hain
ghanimat hai ki ab bhi baadalon ki oT se 'tashna'
andheron ke muKHalif mah-o-aKHtar bol paDte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.