Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

meri bipta bhi kitni dukh-bhari hai

Saima Aftab

meri bipta bhi kitni dukh-bhari hai

Saima Aftab

MORE BYSaima Aftab

    mirī biptā bhī kitnī dukh-bharī hai

    jise taqdīr sun kar hañs rahī hai

    yahāñ sochoñ ke par kaise khuleñge

    mahz jismoñ pe sab duniyā rukī hai

    mujhe bhejā to puurā thā ḳhudā ne

    magar hissoñ qīmat lag rahī hai

    kahāñ ishq aur kaisī mohabbat

    havasnākī ik manDī sajī hai

    maiñ fardā faḳhr-e-ādam kyuuñ nahīñ thī

    bahut arzāñ mirī bolī lagī hai

    meri bipta bhi kitni dukh-bhari hai

    jise taqdir sun kar hans rahi hai

    yahan sochon ke par kaise khulenge

    mahz jismon pe sab duniya ruki hai

    mujhe bheja to pura tha KHuda ne

    magar hisson ki qimat lag rahi hai

    kahan ka ishq aur kaisi mohabbat

    hawasnaki ki ek manDi saji hai

    main farda faKHr-e-adam kyun nahin thi

    bahut arzan meri boli lagi hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now