meri chahaton ka sila de rahe ho
mirī chāhatoñ kā sila de rahe ho
yuuñ lagtā hai jaise sazā de rahe ho
na sāhil na sāhil ke āsār tak haiñ
dilāse abas nāḳhudā de rahe ho
adāoñ ishāroñ se lagtā hai jaise
koī zaḳhm phir se nayā de rahe ho
yahāñ har koī ḳhud meñ Duubā hai gum hai
divāne kise tum sadā de rahe ho
mirī jaan māñgā thā kuchh aur maiñ ne
ġham-e-hijr phir se ye kyā de rahe ho
mohabbat sikhā dī tumheñ jis ne us ko
vafā ke bajā.e daġhā de rahe ho
baḌī muddatoñ ba.ad sho.ale bujhe haiñ
tum is aag ko phir havā de rahe ho
kahīñ vo havāoñ kā haamī na nikle
jise apnā 'farhat' diyā de rahe ho
meri chahaton ka sila de rahe ho
yun lagta hai jaise saza de rahe ho
na sahil na sahil ke aasar tak hain
dilase abas naKHuda de rahe ho
adaon ishaaron se lagta hai jaise
koi zaKHm phir se naya de rahe ho
yahan har koi KHud mein Duba hai gum hai
diwane kise tum sada de rahe ho
meri jaan manga tha kuchh aur main ne
gham-e-hijr phir se ye kya de rahe ho
mohabbat sikha di tumhein jis ne us ko
wafa ke bajae dagha de rahe ho
baDi muddaton baad shoale bujhe hain
tum is aag ko phir hawa de rahe ho
kahin wo hawaon ka hami na nikle
jise apna 'farhat' diya de rahe ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.