meri chahaton ke sawal par koi muskura ke chala gaya
meri chahaton ke sawal par koi muskura ke chala gaya
Abdul Wahab Sukhan
MORE BYAbdul Wahab Sukhan
mirī chāhatoñ ke savāl par koī muskurā ke chalā gayā
mujhe phir se mausam-e-vasl kā vo hasīn ḳhvāb dikhā gayā
dil-e-mezbān meñ rañj kā yahī muddatoñ se hai silsila
koī din meñ aa ke Thahar gayā koī raat rah ke chalā gayā
vo milan kī avvalīñ sā.ateñ vo kisī kā lams ināyateñ
kabhī vo ḳhumār se tar huā kabhī mujh pe nashsha sā chhā gayā
yahī soch kar to maiñ dañg thā bhalā maiñ bhī kyā koī sañg thā
ki vo kār-e-ḳhair samajh ke yuuñ mujhe rāste se haTā gayā
ġham-e-āshiqī ho tirā bhalā tujhe yaad rakkhūñgā maiñ sadā
isī ek nām-e-vafā pe bas mujhe baar baar chhalā gayā
jinheñ rakkhā maiñ ne sambhāl kar jo the jaan se bhī azīz-tar
kabhī sail-e-ashk thā josh par vo unhī ḳhatoñ ko galā gayā
meri chahaton ke sawal par koi muskura ke chala gaya
mujhe phir se mausam-e-wasl ka wo hasin KHwab dikha gaya
dil-e-mezban mein ranj ka yahi muddaton se hai silsila
koi din mein aa ke Thahar gaya koi raat rah ke chala gaya
wo milan ki awwalin saaten wo kisi ka lams inayaten
kabhi wo KHumar se tar hua kabhi mujh pe nashsha sa chha gaya
yahi soch kar to main dang tha bhala main bhi kya koi sang tha
ki wo kar-e-KHair samajh ke yun mujhe raste se haTa gaya
gham-e-ashiqi ho tera bhala tujhe yaad rakkhunga main sada
isi ek nam-e-wafa pe bas mujhe bar bar chhala gaya
jinhen rakkha main ne sambhaal kar jo the jaan se bhi aziz-tar
kabhi sail-e-ashk tha josh par wo unhi KHaton ko gala gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.