meri chashm-e-shauq mein barha wo hazaron rang badal gae
meri chashm-e-shauq mein barha wo hazaron rang badal gae
Muneer Ahmad Jami
MORE BYMuneer Ahmad Jami
mirī chashm-e-shauq meñ bārhā vo hazāroñ rang badal ga.e
maiñ fareb-e-husn na khā sakā vo kalīm the jo bahal ga.e
shab-e-ġham ġhalat ye ḳhayāl thā ki falak pe taare nikal ga.e
mujhe nā-murād sā dekh kar vo charāġh ghī ke the jal ga.e
tū agar hai tālib-e-dil-rubā to farotanī kā maza uThā
ye maqām-e-ishq hai dekhnā jo yahāñ gire vo sañbhal ga.e
haiñ junūñ-mizāj balā ke ham tū hamārā josh-e-junūñ na pūchh
kabhī chal ke arsh pe dam liyā kabhī us se duur nikal ga.e
unheñ dekhne ga.e jis ghaḌī kahā shart hai yahāñ be-ḳhudī
huī un kī diid to yuuñ huī ye ajiib chaal vo chal ga.e
maiñ ma.āl-e-husn-o-vafā pe kuchh nazar apnī Dālne jab lagā
na patang hī the na sham.a thī vo pighal ga.ī to vo jal ga.e
sar-e-bazm sun ke mirī ġhazal lage kahne jauhariyān-e-fan
ke mushā.ere meñ to 'zā.iq' aaj suḳhan ke la.al ugal ga.e
meri chashm-e-shauq mein barha wo hazaron rang badal gae
main fareb-e-husn na kha saka wo kalim the jo bahal gae
shab-e-gham ghalat ye KHayal tha ki falak pe tare nikal gae
mujhe na-murad sa dekh kar wo charagh ghi ke the jal gae
tu agar hai talib-e-dil-ruba to farotani ka maza uTha
ye maqam-e-ishq hai dekhna jo yahan gire wo sanbhal gae
hain junun-mizaj bala ke hum tu hamara josh-e-junun na puchh
kabhi chal ke arsh pe dam liya kabhi us se dur nikal gae
unhen dekhne gae jis ghaDi kaha shart hai yahan be-KHudi
hui un ki did to yun hui ye ajib chaal wo chal gae
main maal-e-husn-o-wafa pe kuchh nazar apni Dalne jab laga
na patang hi the na shama thi wo pighal gai to wo jal gae
sar-e-bazm sun ke meri ghazal lage kahne jauhariyan-e-fan
ke mushaere mein to 'zaiq' aaj suKHan ke lal ugal gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.