meri dastan-e-alam to sun koi zalzala nahin aaega
mirī dāstān-e-alam to sun koī zalzala nahīñ aa.egā
mirā mudda.ā nahīñ aa.egā tirā tazkira nahīñ aa.egā
mirī zindagī ke alang meñ ka.ī ghāTiyāñ ka.ī moḌ haiñ
tirī vāpsī bhī huī agar tujhe rāsta nahīñ aa.egā
agar aa.e din tirī raah meñ tirī khoj meñ tirī chaah meñ
yūñhī qāfile jo luTā kiye koī qāfila nahīñ aa.egā
agar aa.e dasht meñ jhiil to mujhe ehtiyāt se pheñknā
ki maiñ barg-e-ḳhushk huuñ dosto mujhe Dūbnā nahīñ aa.egā
mirī umr bhar kī barahnagī mujhe chhoḌ de mire haal par
ye jo aks hai mirā ham-safar mujhe oḌhnā nahīñ aa.egā
kahīñ intihā kī malāmateñ kahīñ pattharoñ se aTī chhateñ
tire shahr meñ mire baad ab koī sar-phirā nahīñ aa.egā
koī intizār kā fā.eda mire yaar 'bedil-e-haidarī’
tujhe chhoḌ kar jo chalā gayā nahīñ aa.egā nahīñ aa.egā
meri dastan-e-alam to sun koi zalzala nahin aaega
mera muddaa nahin aaega tera tazkira nahin aaega
meri zindagi ke alang mein kai ghaTiyan kai moD hain
teri wapsi bhi hui agar tujhe rasta nahin aaega
agar aae din teri rah mein teri khoj mein teri chah mein
yunhi qafile jo luTa kiye koi qafila nahin aaega
agar aae dasht mein jhil to mujhe ehtiyat se phenkna
ki main barg-e-KHushk hun dosto mujhe Dubna nahin aaega
meri umr bhar ki barahnagi mujhe chhoD de mere haal par
ye jo aks hai mera ham-safar mujhe oDhna nahin aaega
kahin intiha ki malamaten kahin pattharon se aTi chhaten
tere shahr mein mere baad ab koi sar-phira nahin aaega
koi intizar ka faeda mere yar 'bedil-e-haidari’
tujhe chhoD kar jo chala gaya nahin aaega nahin aaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.