meri dariya-dili ka aks-e-kaamil dekhne wale
mirī dariyā-dilī kā aks-e-kāmil dekhne vaale
samundar dekh leñ pahle mirā dil dekhne vaale
kabhī qaid-o-musībat se rihā.ī pā nahīñ sakte
qafas meñ baiTh kar tauq-o-salāsil dekhne vaale
na jaane āḳhirī hichkī meñ kaisā dard pinhāñ thā
pareshāñ ho ga.e haiñ raqs-e-bismil dekhne vaale
nahīñ āsūdgī to phir vafā kaisī jafā kaisī
mirā chehra nahīñ paḌhte mirā dil dekhne vaale
mire aane se mahfil meñ huī hai 'nūr' kī bārish
bulāo ab kahāñ hai rañg-e-mahfil dekhne vaale
meri dariya-dili ka aks-e-kaamil dekhne wale
samundar dekh len pahle mera dil dekhne wale
kabhi qaid-o-musibat se rihai pa nahin sakte
qafas mein baiTh kar tauq-o-salasil dekhne wale
na jaane aaKHiri hichki mein kaisa dard pinhan tha
pareshan ho gae hain raqs-e-bismil dekhne wale
nahin aasudgi to phir wafa kaisi jafa kaisi
mera chehra nahin paDhte mera dil dekhne wale
mere aane se mahfil mein hui hai 'nur' ki barish
bulao ab kahan hai rang-e-mahfil dekhne wale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.