meri dhaDkanon ko uchhaal kar
mirī dhaḌkanoñ ko uchhāl kar
ai fishār-e-ḳhūn dhamāl kar
ki jo dekhe sañg uchhāl de
ai junūn merā vo haal kar
mujhe kuchh to merī ḳhabar mile
mujhe mujh meñ thoḌā bahāl kar
tire bas meñ ho to dikhā kabhī
mujhe apne dil se nikāl kar
maiñ ki muddatoñ se huuñ lāpatā
mujhe DhūñD merā ḳhayāl kar
meri dhaDkanon ko uchhaal kar
ai fishaar-e-KHun dhamal kar
ki jo dekhe sang uchhaal de
ai junun mera wo haal kar
mujhe kuchh to meri KHabar mile
mujhe mujh mein thoDa bahaal kar
tere bas mein ho to dikha kabhi
mujhe apne dil se nikal kar
main ki muddaton se hun lapata
mujhe DhunD mera KHayal kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.