meri diwangi ja kar ye sahraon mein kah aai
mirī dīvāngī jā kar ye sahrāoñ meñ kah aa.ī
tumhāre kaam aa.egī ye merī ābla-pā.ī
sabā shabnam gul-o-lāla nahīñ kaafī gulistāñ meñ
chahakne chahchahāne do to ham samjheñ bahār aa.ī
tumhāre bin sanam har pal baḌā suunā sā lagtā hai
tumhārī raah taktī hai mire jīvan kī añgnā.ī
sabā ke dosh par jaise kalī koī kahīñ chaTke
kisī nāzuk badan ne sub.h-dam yuuñ lī hai añgḌā.ī
zarā sā ik lihāz-e-ābrū-e-ishq hai varna
mujhe ab ḳhauf-e-duniyā hai na koī ḳhauf-e-rusvā.ī
jafāoñ par jafā.eñ vo kiye jaa.eñ magar 'sayyad'
chhalak saktā nahīñ merā kabhī jām-e-shakebā.ī
meri diwangi ja kar ye sahraon mein kah aai
tumhaare kaam aaegi ye meri aabla-pai
saba shabnam gul-o-lala nahin kafi gulistan mein
chahakne chahchahane do to hum samjhen bahaar aai
tumhaare bin sanam har pal baDa suna sa lagta hai
tumhaari rah takti hai mere jiwan ki angnai
saba ke dosh par jaise kali koi kahin chaTke
kisi nazuk badan ne subh-dam yun li hai angDai
zara sa ek lihaz-e-abru-e-ishq hai warna
mujhe ab KHauf-e-duniya hai na koi KHauf-e-ruswai
jafaon par jafaen wo kiye jaen magar 'sayyad'
chhalak sakta nahin mera kabhi jam-e-shakebai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.