meri dua mein asar hota to main rota kya
mirī du'ā meñ asar hotā to maiñ rotā kyā
ki tere pahlū meñ sar hotā to maiñ rotā kyā
na-jāne kaun se rastoñ se zindagī guzrī
tirī galī se guzar hotā to maiñ rotā kyā
mire to jism kā hissa rahī haiñ dīvāreñ
agar kahīñ koī dar hotā to maiñ rotā kyā
kahāñ maiñ hijr ko chup-chāp kaaT saktā thā
mirā jo itnā jigar hotā to maiñ rotā kyā
vo us kināre rahā 'umr bhar idhar maiñ rahā
agar ki maiñ bhī udhar hotā to maiñ rotā kyā
jise bhī ġhaur se dekhā mujhe parāyā lagā
mirā koī bhī agar hotā to maiñ rotā kyā
meri du'a mein asar hota to main rota kya
ki tere pahlu mein sar hota to main rota kya
na-jaane kaun se raston se zindagi guzri
teri gali se guzar hota to main rota kya
mere to jism ka hissa rahi hain diwaren
agar kahin koi dar hota to main rota kya
kahan main hijr ko chup-chap kaT sakta tha
mera jo itna jigar hota to main rota kya
wo us kinare raha 'umr bhar idhar main raha
agar ki main bhi udhar hota to main rota kya
jise bhi ghaur se dekha mujhe paraya laga
mera koi bhi agar hota to main rota kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.