meri duniya akeli ho rahi hai
mirī duniyā akelī ho rahī hai
tamannā ghar meñ tanhā so rahī hai
sadā.eñ ghuT ga.iiñ siine ke andar
ḳhamoshī apnī patthar ho rahī hai
tamannāoñ ke siine par rakhe sar
udāsī baal khole so rahī hai
sunā hai apnā chehra zindagānī
musalsal āñsuoñ se dho rahī hai
yahāñ se aur vahāñ tak nā-umīdī
hamāre dil kā unvāñ ho rahī hai
meri duniya akeli ho rahi hai
tamanna ghar mein tanha so rahi hai
sadaen ghuT gain sine ke andar
KHamoshi apni patthar ho rahi hai
tamannaon ke sine par rakhe sar
udasi baal khole so rahi hai
suna hai apna chehra zindagani
musalsal aansuon se dho rahi hai
yahan se aur wahan tak na-umidi
hamare dil ka unwan ho rahi hai
- Book : Saye Babool Ke (Pg. 105)
- Author : Azhar Naiyyar
- Publication : Educational Publishing House (2014)
- Edition : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.