meri ghazal gunguna raha tha
mirī ġhazal gungunā rahā thā
vahī jo mujh se ḳhafā rahā thā
mere ḳhayāloñ meñ gum thā shāyad
vo apnā kañgan ghumā rahā thā
maiñ bādaloñ ko milā milā kar
usī kā chehra banā rahā thā
binā tumhāre na jī sakeñge
vo niiñd meñ budbudā rahā thā
jo us kī āñkhoñ se pī lī ik din
ka.ī dinoñ tak nasha rahā thā
meri ghazal gunguna raha tha
wahi jo mujh se KHafa raha tha
mere KHayalon mein gum tha shayad
wo apna kangan ghuma raha tha
main baadalon ko mila mila kar
usi ka chehra bana raha tha
bina tumhaare na ji sakenge
wo nind mein budbuda raha tha
jo us ki aankhon se pi li ek din
kai dinon tak nasha raha tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.