meri ghazal ki sabahat ko KHadd-o-Khaal to de
mirī ġhazal kī sabāhat ko ḳhadd-o-ḳhāl to de
aur is ḳhayāl ko ā.īna-e-jamāl to de
kahīñ na kar de ise ġharq zor tūfāñ kā
bhañvar se kashtī-e-dil nā-ḳhudā nikāl to de
ġhazal kī shaan bhī rah jaa.e aur merī bhī
mirā mizāj achhūtā sā ik ḳhayāl to de
shu.ūr-o-fikr kī ra.anā.iyoñ meñ kho jā.ūñ
ḳhayāl-e-māzī ko āshuftagī-e-hāl to de
maiñ imtihān-e-vafā se bhī surḳh-rū niklūñ
savāl-nāme meñ aisā koī savāl to de
ġham-e-zamāna ġham-e-ārzū ġham-e-‘hasrat’
mirī hayāt ko kuchh aur māh-o-sāl to de
meri ghazal ki sabahat ko KHadd-o-KHal to de
aur is KHayal ko aaina-e-jamal to de
kahin na kar de ise gharq zor tufan ka
bhanwar se kashti-e-dil na-KHuda nikal to de
ghazal ki shan bhi rah jae aur meri bhi
mera mizaj achhuta sa ek KHayal to de
shuur-o-fikr ki ranaiyon mein kho jaun
KHayal-e-mazi ko aashuftagi-e-haal to de
main imtihan-e-wafa se bhi surKH-ru niklun
sawal-name mein aisa koi sawal to de
gham-e-zamana gham-e-arzu gham-e-‘hasrat’
meri hayat ko kuchh aur mah-o-sal to de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.