meri hansi mein mere aansuon mein rahta hai
mirī hañsī meñ mire āñsuoñ meñ rahtā hai
vo ruuh ban ke mirī dhaḌkanoñ meñ rahtā hai
maiñ bachpane meñ jise dekh kar humaktā thā
vo chāñd aaj mire bāzuoñ meñ rahtā hai
ḳhilāf-e-shar’ na ho jaa.e koī kaam kahīñ
hamesha ḳhauf hamāre diloñ meñ rahtā hai
ye jānte hī nahīñ terī azmateñ maulā
ye sochte haiñ ḳhudā masjidoñ meñ rahtā hai
tumheñ bhī lag ga.ī shohrat kī chāshnī shāyad
tumhārā naam bahut surḳhiyoñ meñ rahtā hai
'samar' ko pūchh rahe ho tumheñ nahīñ mā'lūm
vo shahr chhoḌ ke ab jangaloñ meñ rahtā hai
meri hansi mein mere aansuon mein rahta hai
wo ruh ban ke meri dhaDkanon mein rahta hai
main bachpane mein jise dekh kar humakta tha
wo chand aaj mere bazuon mein rahta hai
KHilaf-e-shar’ na ho jae koi kaam kahin
hamesha KHauf hamare dilon mein rahta hai
ye jaante hi nahin teri azmaten maula
ye sochte hain KHuda masjidon mein rahta hai
tumhein bhi lag gai shohrat ki chashni shayad
tumhaara nam bahut surKHiyon mein rahta hai
'samar' ko puchh rahe ho tumhein nahin ma'lum
wo shahr chhoD ke ab jangalon mein rahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.