meri hasti ka jalwon mein tere ru-posh ho jaana
mirī hastī kā jalvoñ meñ tire rū-posh ho jaanā
yahīñ to hai bas ik qatra kā dariyā-nosh ho jaanā
tumheñ kyā ġham mubārak ho tumheñ rū-posh ho jaanā
huā jaatā hai afsāna mirā behosh ho jaanā
vahī samjhe haiñ kuchh kuchh zindagī-o-maut kā hāsil
jinheñ aatā hai jiite jī kafan bar-dosh ho jaanā
ye achchhī ibtidā kī aap ne ai hazrat-e-mūsā
dam-e-dīdār ab lāzim huā behosh ho jaanā
zamīñ kā zarra zarra ā.ina-dār-e-haqīqat hai
kahīñ apne hī jalvoñ meñ na tum rū-posh ho jaanā
bisāt-e-dahr meñ ġhāfil bhalā jiine kā hāsil kyā
ki marnā bhī jahāñ par ho vabāl-e-dosh ho jaanā
vo sar zaanū pe un ke vo havā zulf-e-mo.ambar kī
hameñ to hosh se baḌh kar hai yuuñ behosh ho jaanā
nazar aate haiñ ab jalve hī jalve har taraf mujh ko
dalīl-e-hoshiyārī thā mirā behosh ho jaanā
vo uThnā jalva-gāh-e-nāz ke parde kā nazroñ se
vo merā dekhte hī dekhte behosh ho jaanā
kahīñ nākām rah jaa.e na zauq-e-justujū apnā
adam se bhī ḳhayāl-e-yār ham-āġhosh ho jaanā
guzar jā manzil-e-ehsās kī had se bhī ai 'afqar'
kamāl-e-be-ḳhudī hai be-niyāz-e-hosh ho jaanā
meri hasti ka jalwon mein tere ru-posh ho jaana
yahin to hai bas ek qatra ka dariya-nosh ho jaana
tumhein kya gham mubarak ho tumhein ru-posh ho jaana
hua jata hai afsana mera behosh ho jaana
wahi samjhe hain kuchh kuchh zindagi-o-maut ka hasil
jinhen aata hai jite ji kafan bar-dosh ho jaana
ye achchhi ibtida ki aap ne ai hazrat-e-musa
dam-e-didar ab lazim hua behosh ho jaana
zamin ka zarra zarra aaina-dar-e-haqiqat hai
kahin apne hi jalwon mein na tum ru-posh ho jaana
bisat-e-dahr mein ghafil bhala jine ka hasil kya
ki marna bhi jahan par ho wabaal-e-dosh ho jaana
wo sar zanu pe un ke wo hawa zulf-e-moambar ki
hamein to hosh se baDh kar hai yun behosh ho jaana
nazar aate hain ab jalwe hi jalwe har taraf mujh ko
dalil-e-hoshiyari tha mera behosh ho jaana
wo uThna jalwa-gah-e-naz ke parde ka nazron se
wo mera dekhte hi dekhte behosh ho jaana
kahin nakaam rah jae na zauq-e-justuju apna
adam se bhi KHayal-e-yar ham-aghosh ho jaana
guzar ja manzil-e-ehsas ki had se bhi ai 'afqar'
kamal-e-be-KHudi hai be-niyaz-e-hosh ho jaana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.