meri hasti saza hone se pahle
mirī hastī sazā hone se pahle
maiñ mar jaatā baḌā hone se pahle
hamāre saath uThtā baiThtā thā
vo ik banda ḳhudā hone se pahle
vo qibla is galī se jā chukā thā
namāz-e-dil adā hone se pahle
mohabbat ik musalsal hādisa thī
hamāre be-vafā hone se pahle
maiñ apnī zaat se nā-āshnā thā
ḳhudā se āshnā hone se pahle
ḳhizāñ meñ phuul sā lagtā thā mujh ko
vo patthar aa.inā hone se pahle
bahut mazbūt sī dīvār thā maiñ
kisī kā rāstā hone se pahle
meri hasti saza hone se pahle
main mar jata baDa hone se pahle
hamare sath uThta baiThta tha
wo ek banda KHuda hone se pahle
wo qibla is gali se ja chuka tha
namaz-e-dil ada hone se pahle
mohabbat ek musalsal hadisa thi
hamare be-wafa hone se pahle
main apni zat se na-ashna tha
KHuda se aashna hone se pahle
KHizan mein phul sa lagta tha mujh ko
wo patthar aaina hone se pahle
bahut mazbut si diwar tha main
kisi ka rasta hone se pahle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.