meri hayat abhi jis ke intizar mein hai
mirī hayāt abhī jis ke intizār meñ hai
vo lamha kis ke ḳhudā jaane iḳhtiyār meñ hai
ye phuul kāñTe bahut hī 'azīz haiñ ham ko
hamāre maazī kī ḳhushbū isī bahār meñ haiñ
karegā kaise koī manziloñ kā andāza
abhī to kārvāñ ḳhud parda-e-ġhubār meñ hai
na jaane kab ye qafas zindagī kā TūTegā
abhī hayāt mirī dard ke hisār meñ hai
zamāna Toktā jaatā hai is tarah mujh ko
ki jaise tark-e-vafā mere iḳhtiyār meñ hai
ajiib 'tāj' yahāñ nazm-e-zindagānī hai
hai gulsitāñ meñ koī koī lāla-zār meñ hai
meri hayat abhi jis ke intizar mein hai
wo lamha kis ke KHuda jaane iKHtiyar mein hai
ye phul kanTe bahut hi 'aziz hain hum ko
hamare mazi ki KHushbu isi bahaar mein hain
karega kaise koi manzilon ka andaza
abhi to karwan KHud parda-e-ghubar mein hai
na jaane kab ye qafas zindagi ka TuTega
abhi hayat meri dard ke hisar mein hai
zamana Tokta jata hai is tarah mujh ko
ki jaise tark-e-wafa mere iKHtiyar mein hai
ajib 'taj' yahan nazm-e-zindagani hai
hai gulsitan mein koi koi lala-zar mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.