meri ibaadaten jag par ayan na ho jaen
mirī ibādateñ jag par ayaañ na ho jaa.eñ
ye us kā dar hai jabīñ par nishāñ na ho jaa.eñ
kuchh is liye bhī zarūrat thī ham ko marham kī
kahīñ ye zaḳhm hamārī zabāñ na ho jaa.eñ
ham aise ḳhvāb meñ bhī ye ḳhayāl rakhte haiñ
ki terī aañkh se aañsū ravāñ na ho jaa.eñ
ham is liye bhī nahīñ dekhte jī bhar un ko
gumāñ huā vo kahīñ bad-gumāñ na ho jaa.eñ
meri ibaadaten jag par ayan na ho jaen
ye us ka dar hai jabin par nishan na ho jaen
kuchh is liye bhi zarurat thi hum ko marham ki
kahin ye zaKHm hamari zaban na ho jaen
hum aise KHwab mein bhi ye KHayal rakhte hain
ki teri aankh se aansu rawan na ho jaen
hum is liye bhi nahin dekhte ji bhar un ko
guman hua wo kahin bad-guman na ho jaen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.