meri iltija se KHafa na ho ki wo josh-e-dil tha gila na tha
meri iltija se KHafa na ho ki wo josh-e-dil tha gila na tha
Basit Bhopali
MORE BYBasit Bhopali
mirī iltijā se ḳhafā na ho ki vo josh-e-dil thā gila na thā
kabhī ranj maiñ ne sahā na thā kabhī dil kisī ko diyā na thā
mire hāthoñ mujh ko alam mile ye maiñ kyoñ kahūñ ki ḳhudā na thā
mirā ka.aba thā haram-e-butāñ mirā qibla qibla-numā na thā
tirī ehtiyāt-e-nigāh se tire iltifāt-e-nigāh tak
mirā haal laakh burā sahī magar is qadar bhī burā na thā
ba-hazār ishva-e-jāñ-sitāñ vo phir apnā jalva dikhā ga.e
abhī aag dil kī dabī na thī abhī zaḳhm dil kā bharā na thā
mire dard-e-dil kā vo mājrā mire rang-e-ruḳh se ayaañ huā
jo kisī se maiñ ne kahā na thā jo kisī ne mujh se sunā na thā
ye maiñ kyoñ kahūñ mirā dil gayā ki fuġhāñ se arsh to hil gayā
mujhe intizār meñ mil gayā tire vasl meñ jo mazā na thā
vo niyāz-e-ishq kī sāzisheñ vo ġhurūr-e-husn kī nāzisheñ
mujhe e'timād-e-sitam na thā unheñ aitabār-e-vafā na thā
ye batā ki 'bāsit'-e-ḳhasta ko tirī bazm-e-nāz se kyā milā
abhī dil-ba-dast gayā thā vo abhī haath dil se judā na thā
meri iltija se KHafa na ho ki wo josh-e-dil tha gila na tha
kabhi ranj main ne saha na tha kabhi dil kisi ko diya na tha
mere hathon mujh ko alam mile ye main kyon kahun ki KHuda na tha
mera kaba tha haram-e-butan mera qibla qibla-numa na tha
teri ehtiyat-e-nigah se tere iltifat-e-nigah tak
mera haal lakh bura sahi magar is qadar bhi bura na tha
ba-hazar ishwa-e-jaan-sitan wo phir apna jalwa dikha gae
abhi aag dil ki dabi na thi abhi zaKHm dil ka bhara na tha
mere dard-e-dil ka wo majra mere rang-e-ruKH se ayan hua
jo kisi se main ne kaha na tha jo kisi ne mujh se suna na tha
ye main kyon kahun mera dil gaya ki fughan se arsh to hil gaya
mujhe intizar mein mil gaya tere wasl mein jo maza na tha
wo niyaz-e-ishq ki sazishen wo ghurur-e-husn ki nazishen
mujhe e'timad-e-sitam na tha unhen aitabar-e-wafa na tha
ye bata ki 'basit'-e-KHasta ko teri bazm-e-naz se kya mila
abhi dil-ba-dast gaya tha wo abhi hath dil se juda na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.