meri jaan-e-KHana-ba-dosh ko wo sukun mila tere shahr se
meri jaan-e-KHana-ba-dosh ko wo sukun mila tere shahr se
Mohammad Owais Malik
MORE BYMohammad Owais Malik
mirī jān-e-ḳhāna-ba-dosh ko vo sukūñ milā tire shahr se
ki maiñ kuuch karne ke ba.ad bhī na bichhaḌ sakā tire shahr se
maiñ sahāb ban ke havāoñ meñ tujhe DhūñDhtā thā fazāoñ meñ
so tire makāñ pe baras paḌā jo guzar huā tire shahr se
tirī rahguzar se lagāv thā tire āstāñ pe paḌāv thā
tirā hukm thā ki safar karūñ so maiñ chal paḌā tire shahr se
na vo bijliyāñ thiiñ jamāl kī na vo bārisheñ thiiñ visāl kī
ka.ī hasratoñ se aTā huā maiñ guzar gayā tire shahr se
mirā naḳhl-e-zāt ujaḌ gayā maiñ tirī zamīñ se ukhaḌ gayā
koī gard-bād junūn kā mujhe le uḌā tire shahr se
kahīñ taḳhliye ko jo pā liyā vahīñ boriye ko bichhā liyā
maiñ ne koh-o-dasht kī ḳhalvatoñ kā maza liyā tire shahr se
maiñ dayār-e-ġhair meñ ajnabī kabhī is galī kabhī us galī
maiñ tirī galī kā asiir thā mujhe ishq thā tire shahr se
na maiñ kohkan na maiñ qais thā maiñ tire nagar kā 'ovais' thā
unheñ bandaman se thiiñ nisbateñ mirā silsila tire shahr se
meri jaan-e-KHana-ba-dosh ko wo sukun mila tere shahr se
ki main kuch karne ke baad bhi na bichhaD saka tere shahr se
main sahab ban ke hawaon mein tujhe DhunDhta tha fazaon mein
so tere makan pe baras paDa jo guzar hua tere shahr se
teri rahguzar se lagaw tha tere aastan pe paDaw tha
tera hukm tha ki safar karun so main chal paDa tere shahr se
na wo bijliyan thin jamal ki na wo barishen thin visal ki
kai hasraton se aTa hua main guzar gaya tere shahr se
mera naKHl-e-zat ujaD gaya main teri zamin se ukhaD gaya
koi gard-baad junun ka mujhe le uDa tere shahr se
kahin taKHliye ko jo pa liya wahin boriye ko bichha liya
main ne koh-o-dasht ki KHalwaton ka maza liya tere shahr se
main dayar-e-ghair mein ajnabi kabhi is gali kabhi us gali
main teri gali ka asir tha mujhe ishq tha tere shahr se
na main kohkan na main qais tha main tere nagar ka 'owais' tha
unhen bandaman se thin nisbaten mera silsila tere shahr se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.