meri jaan par ye patthar is liye bhaari ziyaada hai
mirī jaañ par ye patthar is liye bhārī ziyāda hai
mohabbat kam tire lahje meñ ġham-ḳhvārī ziyāda hai
ye sab se muḳhtasar rasta hai is vaadī meñ jaane kā
magar is par safar karne meñ dushvārī ziyāda hai
ham apnī raah meñ dīvār ban jaate haiñ ḳhud aksar
hamārā mas.ala ye hai ki ḳhuddārī ziyāda hai
mohabbat ke qarīb aayā to andāza huā mujh ko
ki dilkash ghar se ghar kī chaar dīvārī ziyāda hai
abhī ye bahs 'nādir' vaqt kī chaukhaT pe rakhte haiñ
ye kal dekheñge kis kā kaam meyārī ziyāda hai
meri jaan par ye patthar is liye bhaari ziyaada hai
mohabbat kam tere lahje mein gham-KHwari ziyaada hai
ye sab se muKHtasar rasta hai is wadi mein jaane ka
magar is par safar karne mein dushwari ziyaada hai
hum apni rah mein diwar ban jate hain KHud aksar
hamara masala ye hai ki KHuddari ziyaada hai
mohabbat ke qarib aaya to andaza hua mujh ko
ki dilkash ghar se ghar ki chaar diwari ziyaada hai
abhi ye bahs 'nadir' waqt ki chaukhaT pe rakhte hain
ye kal dekhenge kis ka kaam meyari ziyaada hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.