meri jabin ka muqaddar kahin raqam bhi to ho
mirī jabīñ kā muqaddar kahīñ raqam bhī to ho
maiñ kis ko sāmne rakhūñ koī sanam bhī to ho
kiran kiran tirā paikar kalī kalī chehra
ye laḳht laḳht badan ab kahīñ baham bhī to ho
mire nasīb meñ āḳhir ḳhalā-navardī kyuuñ
mirī zamīñ hai to us par mirā qadam bhī to ho
har ek shaḳhs ne katba uThā rakhā hai yahāñ
kisī ke haath meñ āḳhir koī alam bhī to ho
guzār lamhe sahīfa ba-dast utreñge
tire nasīb meñ faizān-e-chashm-e-nam bhī to ho
bas ab to chheḌ de ai mutriba ġhazal koī
tarab-kade meñ vo shahzādī-e-alam bhī to ho
'rashīd' lab pe hañsī hai to aañkh nam kar le
na.ī ḳhushī ke muqābil purānā ġham bhī to ho
meri jabin ka muqaddar kahin raqam bhi to ho
main kis ko samne rakhun koi sanam bhi to ho
kiran kiran tera paikar kali kali chehra
ye laKHt laKHt badan ab kahin baham bhi to ho
mere nasib mein aaKHir KHala-nawardi kyun
meri zamin hai to us par mera qadam bhi to ho
har ek shaKHs ne katba uTha rakha hai yahan
kisi ke hath mein aaKHir koi alam bhi to ho
guzar lamhe sahifa ba-dast utrenge
tere nasib mein faizan-e-chashm-e-nam bhi to ho
bas ab to chheD de ai mutriba ghazal koi
tarab-kade mein wo shahzadi-e-alam bhi to ho
'rashid' lab pe hansi hai to aankh nam kar le
nai KHushi ke muqabil purana gham bhi to ho
- Book : Fasiil-e-lab (Pg. 91)
- Author : Rashiid Qaisarani
- Publication : Aiwan-e-urdu Taimuriya karachi (1973)
- Edition : 1973
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.