meri jagah pe raha waqt mere ghar mein tha
mirī jagah pe rahā vaqt mere ghar meñ thā
maiñ jab talak bhī ḳhalāoñ ke is safar meñ thā
patā mujhe bhī na chaltā ki kho gayā huuñ maiñ
ye vāqi'a kisī aḳhbār kī ḳhabar meñ thā
ye qaid-e-jism ye sāñsoñ kī garm zanjīreñ
maiñ pahle kyā thā havāoñ ke jab asar meñ thā
bas ik tavīl sī añgḌā.ī le ke Tuut gayā
vo sang-dil jo abhī tak agar magar meñ thā
ki jaise maiñ ne nubuvvat kā kar diyā e'lān
kuchh is tarah mirā charchā tire nagar meñ thā
yahāñ bhī kī mire dāman ne dushmanī ai 'hosh'
vagarna maiñ to hifāzat se is shajar meñ thā
meri jagah pe raha waqt mere ghar mein tha
main jab talak bhi KHalaon ke is safar mein tha
pata mujhe bhi na chalta ki kho gaya hun main
ye waqi'a kisi aKHbar ki KHabar mein tha
ye qaid-e-jism ye sanson ki garm zanjiren
main pahle kya tha hawaon ke jab asar mein tha
bas ek tawil si angDai le ke Tut gaya
wo sang-dil jo abhi tak agar magar mein tha
ki jaise main ne nubuwwat ka kar diya e'lan
kuchh is tarah mera charcha tere nagar mein tha
yahan bhi ki mere daman ne dushmani ai 'hosh'
wagarna main to hifazat se is shajar mein tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.