meri kar-gah-e-dil mein abhi kaam hai ziyaada
mirī kār-gāh-e-dil meñ abhī kaam hai ziyāda
koī chiiz ik jagah se zarā ḳhaam hai ziyāda
kisī manzar-e-shafaq ko kahāñ aañkh meñ jagah duuñ
mire ḳhūn-e-dil se rangīñ mirī shaam hai ziyāda
ghaḌī-bhar Thaharne vaale zarā ye ḳhayāl rakhnā
ye jo sāya-e-shajar hai koī daam hai ziyāda
mirā mashvara yahī hai isī rāste se jaanā
baḌā saaf hai agarche ka.ī gaam hai ziyāda
paḌe haiñ bahut se mere abhī kaam nā-mukammal
koī bojh jaate din par sar-e-shām hai ziyāda
koī jurm dūsre kā mirā ban gayā hai kaise
tirī fard-e-jurm meñ kyuuñ mirā naam hai ziyāda
kabhī kūcha-e-talab meñ kabhī rāh-e-zar-garī par
tirā kār-e-husn ab kuchh sar-e-'ām hai ziyāda
tirī aañkh meñ jo 'shāhīñ' labā-lab bharā huā hai
kisī ik taraf se ḳhālī vahīñ jaam hai ziyāda
meri kar-gah-e-dil mein abhi kaam hai ziyaada
koi chiz ek jagah se zara KHam hai ziyaada
kisi manzar-e-shafaq ko kahan aankh mein jagah dun
mere KHun-e-dil se rangin meri sham hai ziyaada
ghaDi-bhar Thaharne wale zara ye KHayal rakhna
ye jo saya-e-shajar hai koi dam hai ziyaada
mera mashwara yahi hai isi raste se jaana
baDa saf hai agarche kai gam hai ziyaada
paDe hain bahut se mere abhi kaam na-mukammal
koi bojh jate din par sar-e-sham hai ziyaada
koi jurm dusre ka mera ban gaya hai kaise
teri fard-e-jurm mein kyun mera nam hai ziyaada
kabhi kucha-e-talab mein kabhi rah-e-zar-gari par
tera kar-e-husn ab kuchh sar-e-'am hai ziyaada
teri aankh mein jo 'shahin' laba-lab bhara hua hai
kisi ek taraf se KHali wahin jam hai ziyaada
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.