meri kahani ke kirdar sans lete hain
mirī kahānī ke kirdār saañs lete haiñ
maiñ saañs luuñ to mire yaar saañs lete haiñ
ham ek dasht meñ dete haiñ zindagī kī naved
hamāre siine meñ āzār saañs lete haiñ
kabhī to vaqt kī gardish thakā bhī detī hai
so thaam kar tirī dīvār saañs lete haiñ
ukhaḌne lagtī haiñ sāñseñ ulajh ke sāñsoñ se
phir is ke ba.ad lagātār saañs lete haiñ
ye vāhime se mire dil meñ be-sabab to nahīñ
tirī ḳhamoshī meñ inkār saañs lete haiñ
ḳhutūt phaTne lage miT ga.ī haiñ tahrīreñ
sunā.ī dete haiñ afkār saañs lete haiñ
kahānī-kār ne inkār hī dikhāyā hai
tamām lafzoñ meñ iz.hār saañs lete haiñ
jo chhū ke dekhiye to zindagī nahīñ miltī
'zubair' kis liye be-kār saañs lete haiñ
meri kahani ke kirdar sans lete hain
main sans lun to mere yar sans lete hain
hum ek dasht mein dete hain zindagi ki nawed
hamare sine mein aazar sans lete hain
kabhi to waqt ki gardish thaka bhi deti hai
so tham kar teri diwar sans lete hain
ukhaDne lagti hain sansen ulajh ke sanson se
phir is ke baad lagatar sans lete hain
ye wahime se mere dil mein be-sabab to nahin
teri KHamoshi mein inkar sans lete hain
KHutut phaTne lage miT gai hain tahriren
sunai dete hain afkar sans lete hain
kahani-kar ne inkar hi dikhaya hai
tamam lafzon mein izhaar sans lete hain
jo chhu ke dekhiye to zindagi nahin milti
'zubair' kis liye be-kar sans lete hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.