meri kashti-e-mohabbat yunhi pa gai kinara
mirī kashtī-e-mohabbat yūñhī pā ga.ī kinārā
kisī mauj ne Duboyā kisī mauj ne ubhārā
bahut aasrā lagā kar baḌe pyaar se pukārā
tumhīñ sāmne na aa.e tumhīñ kar ga.e kinārā
koī talḳhi-e-mohabbat ko na kar sakā gavārā
ye to sirf merā dil thā ki ye ban gayā tumhārā
mire pyaar se na khelo mirā zaḳhm-e-dil na chheḌo
kahīñ jal na jaa.e dāman mirī aah se tumhārā
na malāl ho kisī ko mirī fat.h-mandiyoñ se
mirī chaal hī na.ī thī maiñ yahī samajh ke haarā
na haram se koī raġhbat na sanam-kade se nisbat
ye hai aadmī kī duniyā mujhe aadmī hai pyārā
mire kaam aa.ī āḳhir mirī himmat-āzmā.ī
jise kah rahe the tūfāñ vahī ban gayā kinārā
ye hai nekiyoñ kā badla ki hai apnī kam-nasībī
vahī dushman-e-sukūñ hai jise de diyā sahārā
na.e naqsh zindagī ke ubhar aa.e pattharoñ se
tirī chashm-e-fitnagar ne kiyā jab kabhī ishāra
meri kashti-e-mohabbat yunhi pa gai kinara
kisi mauj ne Duboya kisi mauj ne ubhaara
bahut aasra laga kar baDe pyar se pukara
tumhin samne na aae tumhin kar gae kinara
koi talKHi-e-mohabbat ko na kar saka gawara
ye to sirf mera dil tha ki ye ban gaya tumhaara
mere pyar se na khelo mera zaKHm-e-dil na chheDo
kahin jal na jae daman meri aah se tumhaara
na malal ho kisi ko meri fath-mandiyon se
meri chaal hi nai thi main yahi samajh ke haara
na haram se koi raghbat na sanam-kade se nisbat
ye hai aadmi ki duniya mujhe aadmi hai pyara
mere kaam aai aaKHir meri himmat-azmai
jise kah rahe the tufan wahi ban gaya kinara
ye hai nekiyon ka badla ki hai apni kam-nasibi
wahi dushman-e-sukun hai jise de diya sahaara
nae naqsh zindagi ke ubhar aae pattharon se
teri chashm-e-fitnagar ne kiya jab kabhi ishaara
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.