meri KHak mein wila ka na koi sharar hota
mirī ḳhaak meñ vilā kā na koī sharār hotā
na hī dil se aag uThtī na ye be-qarār hotā
mire sar pe haath rakhnā jo tirā shi.ār hotā
maiñ na dar-ba-dar bhaTaktā kahīñ ār-pār hotā
maiñ rahīn-e-qalb-e-muztar tū charāġh-e-shādmānī
tirī mahfil-e-tarab meñ kahāñ dil-figār hotā
tirī be-ḳhudī ne ai dil kisī kaam kā na chhoḌā
tirī baat Taal detā to na ḳhud pe baar hotā
tire husn kī kahānī mirī chashm-e-tar se niklī
maiñ na ashk-bār hotā to na āshkār hotā
agar is pe baiTh jaatā koī murġh-e-nā-umīdī
mirā naḳhl-e-ārzū phir kahāñ sāya-dār hotā
meri KHak mein wila ka na koi sharar hota
na hi dil se aag uThti na ye be-qarar hota
mere sar pe hath rakhna jo tera shiar hota
main na dar-ba-dar bhaTakta kahin aar-par hota
main rahin-e-qalb-e-muztar tu charagh-e-shadmani
teri mahfil-e-tarab mein kahan dil-figar hota
teri be-KHudi ne ai dil kisi kaam ka na chhoDa
teri baat Tal deta to na KHud pe bar hota
tere husn ki kahani meri chashm-e-tar se nikli
main na ashk-bar hota to na aashkar hota
agar is pe baiTh jata koi murgh-e-na-umidi
mera naKHl-e-arzu phir kahan saya-dar hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.