meri KHak nur hi nur hai ki harif-e-jalwa-e-tur hai
mirī ḳhaak nuur hī nuur hai ki harīf-e-jalva-e-tūr hai
dil-e-be-qarār meñ tū ne kyā ye charāġh-e-ishq jalā diyā
mujhe fikr-e-daur-e-ḳhizāñ ho kyā ki maiñ nā-shanās-e-bahār huuñ
ġham-e-dil kā shukr-guzār huuñ mujhe dars-e-zīst sikhā diyā
hai natīja-ḳhez mirī fuġhāñ ki ye dil-jaloñ kī hai dāstāñ
kareñ anjuman meñ agar bayāñ to jahāñ meñ hashr uThā diyā
jo jahāñ meñ naqsh-e-jamīl hai tirī shoḳhiyoñ kā qatīl hai
ye to khel-e-rabb-e-jalīl hai ki banā ke ḳhud hī miTā diyā
jise ishq kahte haiñ haq-nigar mirī ḳhalvatoñ kā hai chārāgar
kisī dil ke saaz ko chheḌ kar koī naġhma us ne sunā diyā
ho ḳhamosh ab to fasāna-ḳhvāñ nahīñ achchhā sabr kā imtihāñ
ki sunā ke dard kī dāstāñ kisī ġham-zada ko rulā diyā
maiñ huuñ ek ‘sā.ib’-e-be-navā mirā dil hai kitnā bujhā huā
jo kabhī thā maiñ ne sunā huā tire ishq ne vo dikhā diyā
meri KHak nur hi nur hai ki harif-e-jalwa-e-tur hai
dil-e-be-qarar mein tu ne kya ye charagh-e-ishq jala diya
mujhe fikr-e-daur-e-KHizan ho kya ki main na-shanas-e-bahaar hun
gham-e-dil ka shukr-guzar hun mujhe dars-e-zist sikha diya
hai natija-KHez meri fughan ki ye dil-jalon ki hai dastan
karen anjuman mein agar bayan to jahan mein hashr uTha diya
jo jahan mein naqsh-e-jamil hai teri shoKHiyon ka qatil hai
ye to khel-e-rabb-e-jalil hai ki bana ke KHud hi miTa diya
jise ishq kahte hain haq-nigar meri KHalwaton ka hai chaaragar
kisi dil ke saz ko chheD kar koi naghma us ne suna diya
ho KHamosh ab to fasana-KHwan nahin achchha sabr ka imtihan
ki suna ke dard ki dastan kisi gham-zada ko rula diya
main hun ek ‘saib’-e-be-nawa mera dil hai kitna bujha hua
jo kabhi tha main ne suna hua tere ishq ne wo dikha diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.