meri KHatir koi nama koi paigham to ho
mirī ḳhātir koī naama koī paiġhām to ho
dil-e-muztar ko kisī taur se ārām to ho
mujh se āvāra ko mil jaa.e magar jā-e-amāñ
aarzū hai tire kūche meñ kabhī shaam to ho
mauj-e-ḳhūñ sar se guzar jaa.e to kuchh baat bane
aaj zindāñ meñ bhī taz.īn-e-dar-o-bām to ho
tapte sahrā meñ bhī saaya kahīñ mil jā.egā
pahle ai dost tujhe jur.at-e-yak-gām to ho
be-gunāhī kā mire qatl pe charchā hogā
koī bohtān tarāsho koī ilzām to ho
gar tirā lutf nahīñ terā taġhāful hī sahī
āḳhirash merī vafā kā koī in.aam to ho
uñgliyāñ uThtī haiñ jis samt bhī jaate ho 'habāb'
na sahī kuchh magar ik shā.ir-e-badnām to ho
meri KHatir koi nama koi paigham to ho
dil-e-muztar ko kisi taur se aaram to ho
mujh se aawara ko mil jae magar ja-e-aman
aarzu hai tere kuche mein kabhi sham to ho
mauj-e-KHun sar se guzar jae to kuchh baat bane
aaj zindan mein bhi tazin-e-dar-o-baam to ho
tapte sahra mein bhi saya kahin mil jaega
pahle ai dost tujhe jurat-e-yak-gam to ho
be-gunahi ka mere qatl pe charcha hoga
koi bohtan tarasho koi ilzam to ho
gar tera lutf nahin tera taghaful hi sahi
aaKHirash meri wafa ka koi inam to ho
ungliyan uThti hain jis samt bhi jate ho 'habab'
na sahi kuchh magar ek shair-e-badnam to ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.