meri KHatir mein saqi kab tera paimana aata hai
meri KHatir mein saqi kab tera paimana aata hai
Qurban Ali Salik Beg
MORE BYQurban Ali Salik Beg
mirī ḳhātir meñ saaqī kab tirā paimāna aatā hai
ki yaañ har-dam ḳhayāl-e-nargis-e-mastāna aatā hai
Thikāne justujū-e-yār meñ kis kis ke chhūTe haiñ
ki bulbul baaġh meñ aur bazm meñ parvāna aatā hai
shab-e-furqat uThā kar fitna-e-mahshar se kahtī hai
mujhe zulf-e-darāz-e-yār kā afsāna aatā hai
nikal kar aañkh se ġhā.eb nahīñ hote haiñ ye aañsū
isī paanī se bhartā umr kā paimāna aatā hai
ilāhī log kyuuñ ho ho ke ḳhush firdaus jaate haiñ
magar is baaġh se aage koī vīrāna aatā hai
dil-e-zār aur shast-e-yār meñ ik raah hai maḳhfī
ḳhatā ho kar bhī sīdhā nāvak-e-jānāna aatā hai
chalā huuñ ghar se uTh kar ka.abe kī jānib magar mujh ko
taraddud hai ki raste meñ mire mai-ḳhāna aatā hai
mujhe gardish meñ paayā daur-e-charḳh-e-barīñ kaahe
ki mere saath chakkar meñ mirā kāshāna aatā hai
ye raġhbat hai use aġhyār se jab sher kahtā hai
to mazmūñ bhī ḳhayāl-e-yār meñ begāna aatā hai
tire kūche meñ ho jaatā hai kyā insān par jaadū
abhī hushiyār jaatā hai abhī dīvāna aatā hai
gayā jo is ḳham-e-gesū meñ vaañ kā ho rahā 'sālik'
ye hairat hai salāmat kyuuñ ki phir kar shāna aatā hai
meri KHatir mein saqi kab tera paimana aata hai
ki yan har-dam KHayal-e-nargis-e-mastana aata hai
Thikane justuju-e-yar mein kis kis ke chhuTe hain
ki bulbul bagh mein aur bazm mein parwana aata hai
shab-e-furqat uTha kar fitna-e-mahshar se kahti hai
mujhe zulf-e-daraaz-e-yar ka afsana aata hai
nikal kar aankh se ghaeb nahin hote hain ye aansu
isi pani se bharta umr ka paimana aata hai
ilahi log kyun ho ho ke KHush firdaus jate hain
magar is bagh se aage koi virana aata hai
dil-e-zar aur shast-e-yar mein ek rah hai maKHfi
KHata ho kar bhi sidha nawak-e-jaanana aata hai
chala hun ghar se uTh kar kabe ki jaanib magar mujh ko
taraddud hai ki raste mein mere mai-KHana aata hai
mujhe gardish mein paya daur-e-charKH-e-barin kahe
ki mere sath chakkar mein mera kashana aata hai
ye raghbat hai use aghyar se jab sher kahta hai
to mazmun bhi KHayal-e-yar mein begana aata hai
tere kuche mein ho jata hai kya insan par jadu
abhi hushiyar jata hai abhi diwana aata hai
gaya jo is KHam-e-gesu mein wan ka ho raha 'salik'
ye hairat hai salamat kyun ki phir kar shana aata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.