meri KHastagi ko jamal de
mirī ḳhastagī ko jamāl de
mirī bandagī ko kamāl de
mire dil ko nuur meñ Dhaal kar
mire fikr-o-fan ko ujaal de
tū 'urūj de mire sabr ko
mirī ḳhvāhishoñ ko zavāl de
jo nikhār de mirī ruuh ko
mire dil ko aisā malāl de
koī chāñd baḳhsh ke raat ko
mirī har siyāhī ko Taal de
mirī chashm-e-girya ko husn baḳhsh
dil-e-reza reza sañbhāl de
mujhe dā.imī ho 'shafaq' 'atā
ye maraz badan se nikāl de
meri KHastagi ko jamal de
meri bandagi ko kamal de
mere dil ko nur mein Dhaal kar
mere fikr-o-fan ko ujal de
tu 'uruj de mere sabr ko
meri KHwahishon ko zawal de
jo nikhaar de meri ruh ko
mere dil ko aisa malal de
koi chand baKHsh ke raat ko
meri har siyahi ko Tal de
meri chashm-e-girya ko husn baKHsh
dil-e-reza reza sanbhaal de
mujhe daimi ho 'shafaq' 'ata
ye maraz badan se nikal de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.