meri KHata se baDi teri darguzar hogi
mirī ḳhatā se baḌī terī darguzar hogī
to phir du'ā mirī kaahe ko be-asar hogī
ye mere dil ke safar kī hai kaun sī manzil
pata nahīñ hai musāfir ko to ḳhabar hogī
nahā ke shab meñ hī gesū jhaTak ke khol diye
to kis tarah se mirī jaan ab sahar hogī
ḳhudā darāz kare 'umr terī zulfoñ kī
shab-e-visāl balā se jo muḳhtasar hogī
jo mujh se lenā hai le le matā’-e-fikr-o-nazar
vagarna duniyā ba-kashkol dar-ba-dar hogī
uThegā shor-e-qayāmat bapegā hashr 'sahar'
jo un kī gurg-shanāsā.ī mo'tabar hogī
meri KHata se baDi teri darguzar hogi
to phir du'a meri kahe ko be-asar hogi
ye mere dil ke safar ki hai kaun si manzil
pata nahin hai musafir ko to KHabar hogi
naha ke shab mein hi gesu jhaTak ke khol diye
to kis tarah se meri jaan ab sahar hogi
KHuda daraaz kare 'umr teri zulfon ki
shab-e-visal bala se jo muKHtasar hogi
jo mujh se lena hai le le mata’-e-fikr-o-nazar
wagarna duniya ba-kashkol dar-ba-dar hogi
uThega shor-e-qayamat bapega hashr 'sahar'
jo un ki gurg-shanasai mo'tabar hogi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.