meri KHud se mohabbat baDh gai hai
mirī ḳhud se mohabbat baḌh ga.ī hai
bahut piñjre se vahshat baḌh ga.ī hai
haiñ mere ḳhvāb saare mom ke but
mire sūraj tamāzat baḌh ga.ī hai
hamāre biich bedārī hī ġham thī
bas ab nīñdoñ kī hājat baḌh ga.ī hai
ye kyā bāzār kaise log yūsuf
idhar kyoñ terī raġhbat baḌh ga.ī hai
sunā.ī detā hai sab an-kahā bhī
tirī dhun meñ samā'at baḌh ga.ī hai
kabhī nīñdoñ se maiñ vahshat-zada thī
par ab ḳhvāboñ se rāhat baḌh ga.ī hai
maiñ bachnā chāhtī huuñ apnī jaañ se
mirī mujh se mohabbat baḌh ga.ī hai
nasha sūraj ko ho jaa.e to kyā ho
mirī hairat pe hairat baḌh ga.ī hai
meri KHud se mohabbat baDh gai hai
bahut pinjre se wahshat baDh gai hai
hain mere KHwab sare mom ke but
mere suraj tamazat baDh gai hai
hamare bich bedari hi gham thi
bas ab nindon ki hajat baDh gai hai
ye kya bazar kaise log yusuf
idhar kyon teri raghbat baDh gai hai
sunai deta hai sab an-kaha bhi
teri dhun mein sama'at baDh gai hai
kabhi nindon se main wahshat-zada thi
par ab KHwabon se rahat baDh gai hai
main bachna chahti hun apni jaan se
meri mujh se mohabbat baDh gai hai
nasha suraj ko ho jae to kya ho
meri hairat pe hairat baDh gai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.