meri KHushbu mere asrar tujh mein
mirī ḳhushbū mire asrār tujh meñ
maiñ shāmil huuñ jamāl-e-yār tujh meñ
masīhā.ī ko jis kī ishq aayā
koī aisā paḌā bīmār tujh meñ
ġhubār-e-zāt baiThegā koī dam
girī hai āḳhirī dīvār tujh meñ
fusūn-e-shab bhī hai qurbān jis par
suḳhan aisā huā bedār tujh meñ
havā-e-tund hai jalte diye haiñ
azal se barsar-e-paikār tujh meñ
tujhe hai aarzū duniyā kī lekin
koī duniyā se hai bezār tujh meñ
milan ke giit gaatī hai azal se
mirī pāzeb kī jhankār tujh meñ
maiñ huuñ vo shabd jo mādūm hotā
agar paatā nahīñ iz.hār tujh meñ
izāfī haiñ mujhe ye dīn-o-duniyā
mire donoñ jahāñ dildār tujh meñ
meri KHushbu mere asrar tujh mein
main shamil hun jamal-e-yar tujh mein
masihai ko jis ki ishq aaya
koi aisa paDa bimar tujh mein
ghubar-e-zat baiThega koi dam
giri hai aaKHiri diwar tujh mein
fusun-e-shab bhi hai qurban jis par
suKHan aisa hua bedar tujh mein
hawa-e-tund hai jalte diye hain
azal se barsar-e-paikar tujh mein
tujhe hai aarzu duniya ki lekin
koi duniya se hai bezar tujh mein
milan ke git gati hai azal se
meri pazeb ki jhankar tujh mein
main hun wo shabd jo madum hota
agar pata nahin izhaar tujh mein
izafi hain mujhe ye din-o-duniya
mere donon jahan dildar tujh mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.