Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

meri laghzishon pe nazar na kar mujhe rahmaton se nawaz de

Nazar Kanpuri

meri laghzishon pe nazar na kar mujhe rahmaton se nawaz de

Nazar Kanpuri

MORE BYNazar Kanpuri

    mirī laġhzishoñ pe nazar na kar mujhe rahmatoñ se navāz de

    baḌā hogā mujh pe tirā karam mohabbatoñ se navāz de

    tire ishq meñ bhī mazā mile tire hijr meñ bhī mazā mile

    rahūñ ġham meñ tere jo mubtalā unhīñ chāhatoñ se navāz de

    banā le apnā mujhe agar mujhe faḳhr hogā nasīb par

    mirā naam hogā jahān meñ mujhe shohratoñ se navāz de

    nahīñ koī dil meñ tire sivā mirā sanam hai mirā ḳhudā

    mire dil ko jis se jilā mile unheñ nisbatoñ se navāz de

    phirūñ kū-ba-kū yahāñ dar-ba-dar tire naqsh-e-pā pe mirī nazar

    bulā kar apne qarīb-tar mujhe qurbatoñ se navāz de

    meri laghzishon pe nazar na kar mujhe rahmaton se nawaz de

    baDa hoga mujh pe tera karam tu mohabbaton se nawaz de

    tere ishq mein bhi maza mile tere hijr mein bhi maza mile

    rahun gham mein tere jo mubtala unhin chahaton se nawaz de

    tu bana le apna mujhe agar mujhe faKHr hoga nasib par

    mera nam hoga jahan mein mujhe shohraton se nawaz de

    nahin koi dil mein tere siwa tu mera sanam hai mera KHuda

    mere dil ko jis se jila mile unhen nisbaton se nawaz de

    phirun ku-ba-ku yahan dar-ba-dar tere naqsh-e-pa pe meri nazar

    tu bula kar apne qarib-tar mujhe qurbaton se nawaz de

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now