meri lau lagi hai tujhse gham-e-zindagi miTa de
mirī lau lagī hai tujh se ġham-e-zindagī miTā de
tirā naam hai masīhā mire dard kī davā de
mirī pyaas baḌh rahī hai mirā dil sulag rahā hai
jo nahīñ hai jaam saaqī to nigāh se pilā de
mirā mudda.ā hai itnā tū agar kare gavāra
maiñ faqīr-e-āstāñ huuñ mujhe bandagī sikhā de
mujhe shauq-e-bandagī meñ yahī ek aarzū hai
tirā naqsh-e-pā jahāñ ho mirā sar vahīñ jhukā de
mujhe dekh kar pareshāñ kyā kahegā ye zamāna
maiñ bhaTak rahā huuñ dar dar mujhe aa ke aasrā de
tirā jaam jām-e-kausar tirā mai-kada hai jannat
mire haal pe karam kar mirī tishnagī bujhā de
jise aap chāhte the vo 'fanā' hai ab kafan meñ
koī jā ke aaj un ko zarā ye ḳhabar sunā de
meri lau lagi hai tujh se gham-e-zindagi miTa de
tera nam hai masiha mere dard ki dawa de
meri pyas baDh rahi hai mera dil sulag raha hai
jo nahin hai jam saqi to nigah se pila de
mera muddaa hai itna tu agar kare gawara
main faqir-e-astan hun mujhe bandagi sikha de
mujhe shauq-e-bandagi mein yahi ek aarzu hai
tera naqsh-e-pa jahan ho mera sar wahin jhuka de
mujhe dekh kar pareshan kya kahega ye zamana
main bhaTak raha hun dar dar mujhe aa ke aasra de
tera jam jam-e-kausar tera mai-kada hai jannat
mere haal pe karam kar meri tishnagi bujha de
jise aap chahte the wo 'fana' hai ab kafan mein
koi ja ke aaj un ko zara ye KHabar suna de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.