meri man mujhe tu qarar de mere dasht-e-jaan ko bahaar de
mirī maañ mujhe tū qarār de mire dasht-e-jāñ ko bahār de
mujhe pyaar de be-shumār de tū duā.eñ mujh ko hazār de
maiñ bikhar gayā huuñ sameT le mujhe oḌhnī meñ lapeT le
koī ab nahīñ mire ās-pās mujhe shafqatoñ kā siñghār de
vo tilism-e-hosh-rubā sunā vo parī-dev kī kathā sunā
maiñ Darūñ to mujh ko gale lagā mujhe bāzuoñ kā hisār de
jo maiñ ro paḌūñ to hañsā mujhe kahīñ gir paḌūñ to uThā mujhe
kahīñ kho gayā huuñ maiñ bhiiḌ meñ mirā naam le ke pukār de
terā bhaa.ī bahnoñ ko Toknā mujhe chhoTā kah ke sameTnā
mirā bachpanā kahīñ kho gayā mirā maazī mujh ko udhār de
jo dayār-e-ġhair se aa gayā merā phone ḳhat ġham-e-hijr kā
to javāb meñ tirā hausla merī har takān utaar de
yahāñ ab kī baar koī nahīñ jo ho muntazir dar-o-bām par
tū kahāñ ga.ī mirī maañ mujhe jo 'rehān' kah ke pukār de
meri man mujhe tu qarar de mere dasht-e-jaan ko bahaar de
mujhe pyar de be-shumar de tu duaen mujh ko hazar de
main bikhar gaya hun sameT le mujhe oDhni mein lapeT le
koi ab nahin mere aas-pas mujhe shafqaton ka singhaar de
wo tilism-e-hosh-ruba suna wo pari-dew ki katha suna
main Darun to mujh ko gale laga mujhe bazuon ka hisar de
jo main ro paDun to hansa mujhe kahin gir paDun to uTha mujhe
kahin kho gaya hun main bhiD mein mera nam le ke pukar de
tera bhai bahnon ko Tokna mujhe chhoTa kah ke sameTna
mera bachpana kahin kho gaya mera mazi mujh ko udhaar de
jo dayar-e-ghair se aa gaya mera phone KHat gham-e-hijr ka
to jawab mein tera hausla meri har takan utar de
yahan ab ki bar koi nahin jo ho muntazir dar-o-baam par
tu kahan gai meri man mujhe jo 'rehan' kah ke pukar de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.