meri miyan mein mera bayan rahta hai
mirī miyān meñ merā bayān rahtā hai
mire jigar meñ to hindostān rahtā hai
is ek baat pe maiñ faḳhr kartā aayā huuñ
mirī zamīñ pe koī āsmān rahtā hai
DaTī nazar jhukī gardan mizāj but kī tarah
ye kis jahān meñ saarā jahān rahtā hai
kiyāriyāñ nahīñ par phuul ḳhuub haiñ 'vatsal'
ki jañgaloñ meñ bhī ik gulsitāñ rahtā hai
meri miyan mein mera bayan rahta hai
mere jigar mein to hindostan rahta hai
is ek baat pe main faKHr karta aaya hun
meri zamin pe koi aasman rahta hai
DaTi nazar jhuki gardan mizaj but ki tarah
ye kis jahan mein sara jahan rahta hai
kiyariyan nahin par phul KHub hain 'watsal'
ki jangalon mein bhi ek gulsitan rahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.