meri nakaam chaalon par wo aise muskuraata hai
mirī nākām chāloñ par vo aise muskurātā hai
ki goyā zaḳham detā hai vo phir marham lagātā hai
vo hāthoñ kī lakīreñ dekh kar qismat batātā hai
tasavvur meñ umīdoñ kā hasīñ dīpak jalātā hai
kisī ko qatl karne kā hunar bhī ḳhuub aatā hai
vo apnī zulf meñ ik laam sā ḳhanjar banātā hai
amīr-e-shahr ye pūchhe kisī muflis ke bachche se
kitābeñ bech kar kaise vo apnā ghar chalātā hai
agar hai hausla 'ahmar' to manzil kī taraf dekho
vagarna shauq bhī raste meñ himmat haar jaatā hai
meri nakaam chaalon par wo aise muskuraata hai
ki goya zaKHam deta hai wo phir marham lagata hai
wo hathon ki lakiren dekh kar qismat batata hai
tasawwur mein umidon ka hasin dipak jalata hai
kisi ko qatl karne ka hunar bhi KHub aata hai
wo apni zulf mein ek lam sa KHanjar banata hai
amir-e-shahr ye puchhe kisi muflis ke bachche se
kitaben bech kar kaise wo apna ghar chalata hai
agar hai hausla 'ahmar' to manzil ki taraf dekho
wagarna shauq bhi raste mein himmat haar jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.